Posts

Aasaan Deen Final Part 122

✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part - 122 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Hadees mein hai ke ek martaba Umme Salma aur Hazrat Memoona RaziyAllahu anha Huzoor ﷺ ke paas baithhi hui theen, yeh donon Huzoor ﷺ biwiyaan hain, itne mein Hazrat Abdullah bin Umme Maktoom RaziyAllahu anhu bhi wahaan aagaye, yeh ek naabeena sahaabi the, Huzoor ﷺ ne apni donon biwiyon ko hukm diya ke tum donon in se parda karo. Is par Hazrat Umme Salma RaziyAllahu anha ne kaha: Ya Rasoolullah! Kya woh naabeena nahin hain? Ham ko to nahin dekh rahe hain, aur na hi pehchan rahe hain, Aap ﷺ ne farmaaya: Kya tum donon bhi andhi ho, kya tum unhein nahin dekh rahin ho? 📓 [Tirmizi: 2878] ❧ Gaur karna chaahiye ke ek taraf Huzoor ﷺ ki intehaai nek aur paak baaz biwiyaan theen aur doosri taraf intehaai nek sahaabi the, yahaan to kharaab niyyat ka shuba...

Aasaan Deen Part 121

Image
✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part – 121 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​​​​​​(57)➾ Aurton ka gair mehram mard ko na dekhna* ❧ Islaam ke nazdeek aurton ki ifat awa asmat ki badi ahemiyat hai, isi liye Islaam ne is ki hifaazat ka hukm diya hai aur is mukhtalif tadbeerein bataai hain. Is par amal karne ke baad hi aurton ki asmat mehfooz reh sakti hai aur nek seerat, achchhe akhlaaq, ba haya, paakdaaman aur sahi kirdaar ki maalik ban sakti hain aur is tarah poora muaasharah paakeezah ban sakta hai. ❧ Unheen tadbeeron mein se ek yeh hai ke aurtein gair mehram mardon ko na dekhein, jis tarah mardon ko ijaazat nahin hai ke naamehram aurton ko bila zaroorat dekhein, usi tarah aurton ke liye bhi zaroori hai ke woh bila zaroorat naamehram mardon ko na dekhein. ❧ Qur'aan wa Hadees mein mardon aur aurton ko...

Aasaan Deen Part 120

✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part – 120 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​​​​​​(56)➾ Iffat-o-Asmat ki Hifaazat* ❧ Ifat wa asmat sharm-o-haya aur paakdaamani aurton ke liye ek qeemti zewar hai, jis ki hifaazat karna zaroori hai, jab tak aurat is ki hifaazat karti hai, poora khaandaan, balke poora muaashera paakeezah rehta hai aur Allah Ta'ala ki rehmat aur us ki madad us ke saath rehti hai, aur poore khaandaan mein us ko izzat wa ehteraam ki nigaah se dekha jaata hai. ❧ Qur'aan wa Hadees mein ifat wa asmat ki hifaazat karne aur paakdaamani ikhtiyaar karne ki badi taaqeed ki gai hai. Quraane Kareem mein Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aur momin aurton ko yeh keh dijiye ke woh apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein. [Sura-e-Noor: 31] ❧ Is ke alaawa aur aayaton ...

Aasaan Deen Part 119

✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part – 119 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Isi tarah yeh bhi yaad rakhna chaahiye ke abru'on aur bhawon ko taraashna ya ukhaadna, ya daanton ko ghis kar baareek karna aur use kaat kaat kar nokeela banaana jaisa ke aaj ke daur mein baaz aurtein karti hain, Islaami sharee'at ki ru se durust nahin hai, is se bhi sab ko bachna chaahiye, kyun ke zeenat ke yeh tareeqe fitrat aur etedaal se hate huwe hain aur Allah Ta'ala ki paida karda khalqat aur shakl-o-soorat mein ek tarah ki tabdeeli hai aur Allah Ta'ala ki khalqat mein tabdeeli karna ek shaitaani kaam hai, Quraane Kareem mein hai ke shaitaan ne kha tha: "Aur main logon ko hukm doonga to woh Allah ki banaai hui khalqat mein tabdeeli karenge. [Sura-e-Nisa: 119] ❧ Yahaan yeh samajh lena chaahiye ke Isla...

Aasaan Deen Part 118

Image
✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part – 118 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​​​​​(55)➾ Aurton ke liye baal katwaana* ❧ Aurton ke liye baal husn wa khoobsoorti ki alaamat hai, isi liye aam taur par aurtein lambe aur ghane baalon ko pasand karti hain, magar aaj ke daur mein baaz aurton ne baalon ko taraashwaana shuru kar diya hai, is ki mukhtalif shaklein banwaati hain, baaz peshaani se oopar ke baalon ko kaatti hain aur kuchh khwaateen mardon ki tarah chhota rakhne ki koshish karti hain, yeh sab Islaami tehzeeb wa akhlaaq ke munaafi hai aur gair Islaami tareeqa hai, isi liye shareef, nek, ba haya aur Deendaar khwaateen bhi is ko pasand nahin karti hain. ❧ Haqeeqat yeh hai ke is amal ki wajah se aurat mardon se mushabehat ikhtiyaar karne waali ban jaati hai aur yeh bahot hi khatarnaak aur halaakat wa tabaahi ...

Aasaan Deen Part 117

✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part - 117 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​ ❧ Isi tarah aurton ko libaas mein kaafiron aur faasiqon ki naqqaali aur un ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bachna chaahiye aur mardon jaisa libaas bhi nahin pahenna chaahiye. Kyun ke Rasoolullah ﷺ ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain. 📓 [Sahih Bukhaari: 5885] ❧ Neez aurton ko chaahiye ke apni isteta'at se ziyaada qeemat ke kapde ka ehtemaam bhi na karein aur libaas pahen kar fakhr wa numaaish aur takalluf se parhez karein. Kyun ke Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Jis ne shohrat ka kapda pehna, Allah Ta'ala us ko qayaamat ke din zillat wa ruswaai ka kapda pehnaaeinge. 📓 [Ibne Maaja: 3606] (..Next - 118, Soon In Sha Allah..) *✍🏻 Ref:* Deeniyat Course book Download App - Goo.gl/...

Aasaan Deen Part 116

✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part - 116 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Aurton ko libaas ke taalluq se jo hidaayaat di gai hain un mein buniyaadi baat yeh hai ke libaas poore jism ko chhupaane waala ho. ❧ Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jahannamiyon ke 2 group aise hain jin ko main ne abhi tak nahin dekha hai, yaani is ka wujood baad mein hoga. Ek group to un logon ka hai jin ke haathon mein dum ki tarah kode honge jin se woh logon ko naahaq maarenge aur doosra group un aurton ka hoga jo bazaahir kapde pehne huwe hongi magar woh dar haqeeqat nangi hongi, mardon ko apni taraf maail karengi aur khud bhi maail hongi, un ke sar (ke baal) bakhti oont ke kohaan ki tarah honge, aisi aurtein na to jannat mein jaaengi aur na khushbu paaengi, haalaanke Jannat ki khushbu itni itni masaafat yaani bahot door se mehsoos hone lagti hai...