Aasaan Deen Final Part 122
✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part - 122 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Hadees mein hai ke ek martaba Umme Salma aur Hazrat Memoona RaziyAllahu anha Huzoor ﷺ ke paas baithhi hui theen, yeh donon Huzoor ﷺ biwiyaan hain, itne mein Hazrat Abdullah bin Umme Maktoom RaziyAllahu anhu bhi wahaan aagaye, yeh ek naabeena sahaabi the, Huzoor ﷺ ne apni donon biwiyon ko hukm diya ke tum donon in se parda karo. Is par Hazrat Umme Salma RaziyAllahu anha ne kaha: Ya Rasoolullah! Kya woh naabeena nahin hain? Ham ko to nahin dekh rahe hain, aur na hi pehchan rahe hain, Aap ﷺ ne farmaaya: Kya tum donon bhi andhi ho, kya tum unhein nahin dekh rahin ho? 📓 [Tirmizi: 2878] ❧ Gaur karna chaahiye ke ek taraf Huzoor ﷺ ki intehaai nek aur paak baaz biwiyaan theen aur doosri taraf intehaai nek sahaabi the, yahaan to kharaab niyyat ka shuba...