Posts

Showing posts from October, 2025

Aasaan Deen Part 56

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 56 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​(25)➾ Gaali galoch se bachna* ❧ Islaam ne zabaan ki hifaazat karne aur us ko galat istemaal se bachaane ka hukm diya hai, ek sachche pakke momin ki shaan yeh hai ke woh narm mizaaj aur sheereen kalaam karne waala hota hai, us ki zabaan se gandi baatein, gaali galoch aur akhlaaq se gire huwe alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko taana nahin deta aur na woh kisi par laanat k...

Aasaan Deen Part 55

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 55 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Ek hadees mein Aap ﷺ farmaaya: Tamaam gunaahon mein se Allah Ta'ala jitna chaahte hain maaf farma dete hain, lekin maan baap ko sataane ka gunaah aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah ke karne waale ko maut se pehle duniya hi ki zindagi mein saza de dete hain.  [Sho'abul Imaan: 7890] ❧ Ek doosri hadees mein Huzoor ﷺ ne farmaaya: Waalidain ki naafarmaani karne se bacho,...

Aasaan Deen Part 54

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 54 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​(24)➾ Waalidain ko na Sataana* ❧ Jis tarah maan baap ki farmaanbardaari karna, un ke saath achchha sulook karna, un ki khidmat karna aur unhein hamesha raahat wa aaraam pahonchaana bahot badi neki aur sawaab ka kaam hai, isi tarah un ki naafarmaani karna, un ke saath bura sulook karna, un ko takleef pahonchaana ya kisi aur tarah un ko sataana, bahot bada gunaah hai; ch...

Aasaan Deen Part 53

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 53 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Ek doosri Hadees mein hai ke Aap ﷺ ne ek din Sahaaba RaziyAllahu Anhum se irshaad farmaaya aur teen dafa irshaad farmaaya: Kya main tum ko bataaoon ke sab se bade gunaah kaon kaon se hain? Phir Aap ﷺ ne farmaaya: Allah ke saath shirk karna, maan baap ki naafarmaani karna aur muaamlaat mein jhooti gawaahi dena aur jhoot bolna, Raawi ka bayaan hai ke pehle Aap sahaara laga...

Aasaan Deen Part 52

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 52 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *(23)➾ Jhooti gawaahi na dena* ❧ Gawaahi dar'asl us amaanat ki adaaigi ka naam hai, jo gawaahi dene waale ke paas us qaziyye aur muaamle ke baare mein sahi soorat-e-haal ke ilm aur sachchi baat ki shakl mein maujood hai jis ke baare mein woh gawaahi de raha hai. Goya gawaahi dene waala apni baat mein sachcha hota hai, is liye gawaahi dene waale ko sach ka daaman nahin ch...

Aasaan Deen Part 51

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 51 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Chunaanche ek martaba Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu anhu Huzoor ﷺ se darkhwaast ki : Ya Rasoolallah ! Mujhe dua ke chand aise kalimaat bata deejiye, jin ko main subah wa shaam padh liya karoon. Aap ﷺ ne farmaaya: Kaho : اَللَّهُمَّ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ، ‏‏‏‏‏‏عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ، ‏‏‏‏‏‏رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ، ‏‏‏‏‏‏أَشْهَدُ أَنْ لَ...

Aasaan Deen Part 50

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 50 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​(22)➾ Masnoon duaaon ka ehtemaam karna* ❧ Rasoolullah ﷺ ne mukhtalif auqaat mein jo duaaein maangi aur mukhtalif mawaaqe par ummat ko taaleem di hai, woh nihaayat hi baabarkat hain. Maslan neend se bedaar ho kar padhne ki dua, baitulkhala mein jaane se pehle ki dua, wahaan se baahar nikalne ke baad ki dua, wuzu karte waqt, Masjid mein daakhil hote waqt, Masjid se nikal...

Aasaan Deen Part 49

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 49 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Isi tarah Abu Bakr Muhammad bin Zakarya Ar Raazi hain, jin ki wafaat 923 Eiswi mein hui, bahot bade tabeeb aur maahir doctor the, sab se pehle unhon ne hi saabit kiya ke chechak aur khasra alag alag beemaariyaan hain. Unhon ne ilaaj ke kai naye tareeqe bayaan kiye, paare ka lep aur behoshi laane waali dawaaein eejaad keen, jis ko operation ke waqt istemaal kiya jaata hai...

Aasaan Deen Part 48

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 48 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *​(21)➾ Kaainaat mein gaor-o-fikr karna* ❧ Qur'aan-e-Kareem mein insaanon ko kaainaat ki cheezon mein gaor-o-fikr karne ki daawat di gai hai. Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aur aasmaan wa zameen mein jo kuchh hai, sab ko us ne apni taraf se tumhaare kaam mein laga rakha hai. Yaqeenan us mein un logon ke liye badi nishaaniyaan hain jo gaor-o-fikr se kaam lein.  [Sura-e-J...

Aasaan Deen Part 47

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 47 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ ❧ Hazrat Jaabir RaziyAllahu anhu kehte hain ke ek din Rasoolullah ﷺ hamaare paas tashreef laaye, to Aap ﷺ ne wahaan ek shakhs ko dekha jis ke baal paraaganda bikhre huwe the, Aap ﷺ ne farmaaya: Kya is shakhs ko woh cheez (kanghi wagaira) mayassar nahin, jis se woh apne baalon ko durust kar le, isi tarah Aap ﷺ ne aise shakhs ko dekha jis ke badan par maile kuchaile kapde th...

Aasaan Deen Part 46

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 46 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​ *(20)➾ Safaai Suthraai ka ehtemaam karna* ❧ Har Insaan fitri taur par safaai suthraai ko pasand karta hai aur hamesha saaf suthra rehne ki koshish karta hai, Deen-e-Islaam ne deegar ahkaam ke saath safaai ko bhi khaas ahmiyat di hai, Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Paaki aadha Imaan hai. [Sahih Muslim: 556] ❧ Safaai suthraai Allah ko bahot pasand hai aur Allah Ta'ala ...

Aasaan Deen Part 45

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 45 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Hijri taareekh ka daaro madaar chaand par hai, chaand bhi waqt maaloom karne ka ek zariya hai, Qur’aan-e-Kareem mein Allah Ta'ala ka irshaad hai: Log aap se naye maheenon ke chaand ke baare mein poochhte hain, Aap unhein bata deejiye ke yeh logon ke (mukhtalif muaamlaat ke) aur Haj ke auqaat muta’ayyan karne ke liye hain.  [Sura-e-Baqarah: 189] ❧ Hijri taareekh bahot ahem hai...

Aasaan Deen Part 44

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 44 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​​​​​​​(19)➾ Hijri taareekh ki ahmiyat* ❧ Aam taur par do qism ke calender istemaal kiye jaate hain: (1) Hijri (2) Eiswi. ❧ Eiswi taareekh ki ibtida Hazrat Eisa Alaihissalam ki paidaaish se hoti hai na ke wafaat se, kyun ke un ki wafaat nahin hui balke Allah Ta'ala ne un ko aasmaan par zinda uthha liya hai, qayaamat ke qareeb woh logon ki hidaayat wa rehnumaai ke liye aasmaan...

Aasaan Deen Part 43

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 43 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Rasoolullah ﷺ ne beche jaane waale saamaan ka aib chhupaane se mana bhi farmaaya hai, chunaanche Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ galle ke ek dher ke paas se guzre (jo ek dukaandaar ka tha) Aap ne apna haath us dher ke andar daakhil kar diya, to aap ki ungliyon ne geelapan mehsoos kiya, Aap ne us galla farosh se farmaaya ke (tumhaare dhe...

Aasaan Deen Part 42

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 42 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​​​​​​(18)➾ Saamaan ka aib na chhupaana* ❧ Insaan ko zindagi mein rozmarrah jin kaamon se waasta padta hai un mein ek bahot hi ahem kaam khareedna bechna bhi hai. Isi se zindagi ki gaadi chalti hai. Bazaahir yeh ek dunyawi kaam hai aur ek insaani zaroorat hai. Magar is kaam ko anjaam dene mein agar Allah ke hukmon ka khayaal aur Rasoolullah ﷺ ki roshan hidaayaat ki paasdaari ki...

Aasaan Deen Part 41

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 41 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Sulah Hudaibiyah ke mauqe par Huzoor ﷺ ne Hazrat Usmaan RaziyAllahu anhu ko Makkah bheja. Woh apne chacha zaad bhaai Abbaan bin Saeed ki panaah mein Makkah gaye, jab Makkah pahonche to Abbaan bin Saeed ne kaha: Aye chacha zaad bhaai ! Aap mujhe bahot tawaazo aur aajizi waali shakl wa soorat mein nazar aarahe hain, zara izaar ko takhne se neeche latka leejiye (taake kuchh badaai ki...

Aasaan Deen Part 40

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 40 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​​​​​(17)➾ Sunnat par amal karna* ❧ Insaan ki sab se badi khush naseebi yeh hai ke woh apni poori zindagi ko Allah ke Rasool Hazrat Muhammad ﷺ ke tareeqe ke mutaabiq guzaare, jo shakhs Aap ﷺ ki sunnat par amal karta hai, Allah Ta'ala us se khush hote hain. Sunnat ke mutaabiq apni poori zindagi guzaarne ka ek bahot bada faaida yeh hota hai ke Jannat mein ham ko hamaare Nabi Hazr...

Aasaan Deen Part 39

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 39 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Hindustaan ka ek baadshaah guzra hai, us ka naam Akbar tha. Us ke dimaag mein yeh galat khayaal saraayat kar gaya tha ke (na‘oozubillah) Huzoor ﷺ ke Deen ki kul muddat ek hazaar saal thi jo poori ho gai, isi liye woh dil khol kar Islaami ahkaam ko baatil karne mein mashgool ho gaya tha aur is ke liye us ne ek khud saakhta mazhab "Deen-e-ilaahi" ki bunyaad rakhi thi, jis mein dher ...

Aasaan Deen Part 38

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 38 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Jo koi shakhs Islaam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain.  [Sura-e-Aale Imraan: 85] ❧ Allah Ta'ala ne Deen-e-Islaam ko Aap ﷺ par mukammal kar diya hai, Allah Ta'ala ne apni kitaab mein Deen ke mukammal ho ja...

Aasaan Deen Part 37

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 37 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​​​​(16)➾ Deen-e-Islaam* ❧ Islaam Deen-e-Fitrat hai, yeh Allah ka bheja huwa Deen hai, yeh har waqt hamaari rehnumaai karta hai aur hamein seedhi sachchi raah dikhaata hai. Islaam hamein sikhaata hai ke Allah ek hai, us ka koi shareek wa saajhi nahin, us ke maan baap nahin hai, us ki koi aulaad nahin hai, woh hamesha se hai aur hamesha rahega, woh beniyaaz hai. Aur Hazrat Muham...

Aasaan Deen Part 36

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 36 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Jo log raaste ki safaai suthraai ka khayaal rakhte hain aur aisi cheezon ko hata dete hain, jis se guzarne waalon ko takleef pahonchti ho, to Allah Ta‘ala un se bahot khush hote hain aur unhein bahot ziyaada sawaab ata karte hain. ❧ Ek martaba hamaare Nabi ﷺ ne yeh waaqia bayaan farmaaya ke ek shakhs raaste par chal raha the, us ne ek jagah zameen par kaantedaar tehni padi hui d...

Aasaan Deen Part 35

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 35 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​​​(15)➾ Raaste se takleefdeh cheez ko hataana* ❧ Hamaara Deen Islaam bahot hi achchha mazhab hai, yeh hamein achchhe kaamon ka hukm deta hai aur chhoti chhoti baaton ke baare mein bhi hamaari rehnumaai karta hai. Islaam mein raaston ko saaf suthra rakhna aur khaas taur par raaste se takleef dene waali cheez ko hata dena sawaab ka kaam hai. ❧ Hazrat Abu Barza Aslami Raziyalla...

Aasaan Deen Part 34

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 34 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Teesra adab yeh hai ke guftagu umooman aahistagi aur munaasib aawaaz ke saath karni chaahiye, be mauqa cheekh cheekh kar baatein karna, himaaqat wa jahaalat ki nishaani hai, Allah Ta'ala ne Qur'aan mein Hazrat Luqmaan Alaihissalam ki zabaani guftagu aur bolchaal ka tareeqa is tarah sikhaaya hai: "Aur apni aawaaz zara past rakh, sab aawaaz se buri aawaaz gadhon ki hoti hai".  [S...

Aasaan Deen Part 33

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 33 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​​(14)➾ Guftagu ke Aadaab* ❧ Zabaan jism ka bazaahir ek chhota sa hissa hai, magar usi par insaan ke achchhe bure aamaal ka daaro madaar hota hai. Insaan ki sheereen kalaami aur saleeqa mand guftagu toote huwe dilon ko jod sakti hai, jab ke zabaan ka galat istemaal aur gair zimmedaaraana guftagu baahami taalluqaat ko khatm kar ke nafrat wa adaawat paida kar sakti hai. Isi ahmiy...

Aasaan Deen Part 32

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 32 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Halaal rozi ki barkat se dil mein noor paida hota hai aur nek aamaal ki taufeeq milti hai, aur duaaein qubool hoti hain. Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Be shak Allah Ta'ala paak hai aur paak hi ko qubool farmaate hain. (phir farmaaya ke) yaqeenan (halaal khaane ke baare mein) Allah Ta'ala ne paigambaron ko jo hukm farmaaya ke Rasoolo ! paak cheezein khaao aur nek kaam karo, wahi hukm ...

Aasaan Deen Part 31

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 31 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​​(13)➾ Halaal kamaai ke fawaaid wa barkaat* ❧ Insaan zindagi guzaarne ke liye bahot si cheezon ka mohtaaj hai; sar chhupaane ke liye ghar ka zarooratmand hai to tan dhaankne ke liye kapde ka mohtaaj, zinda rehne ke liye roti bhi zaroori hai, goya roti, kapda, makaan insaan ki bunyaadi zaroorat hai. ❧ Jo log Allah ko nahin pehchaante aur us par Imaan nahin rakhte woh apne maqs...

Aasaan Deen Part 30

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 30 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo.  [Ibne Maajah: 750] ❧ Ek doosri hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya: Ek zamaana aisa aayega ke masjidon mein dunyawi baatein hongi, tumhein chaahiye ke un logon ke paas bh...

Aasaan Deen Part 29

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 29 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​​(12)➾ Masjid ka ehteraam* ❧ Islaam mein masjid ki badi ahmiyat hai, masjid ka adab wa ehteraam karna zaroori hai aur us ke aadaab ka lihaaz rakhna parhezgaari ki nishaani hai. Masjid ke aadaab mein se yeh hai ke masjid mein daakhil hote waqt salaam karein, bashart yeh ke masjid mein baithhe huwe log dars ya zikr mein mashgool na hon aur agar masjid mein koi shakhs na ho, to is ...

Aasaan Deen Part 28

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 28 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Aaj ham sab ko un waaqiaat se ibrat haasil karni chaahiye aur gunaahon se bach kar zindagi guzaarni chaahiye, aur har waqt darte rehna chaahiye ke kaheen Allah Ta'ala ke azaab mein ham bhi giraftaar na ho jaayein, Rasoolullah ﷺ ne is baat ki khabar di hai ke jab Allah Ta'ala ki naafarmaani aam hogi, to us waqt Allah Ta'ala ka azaab aayega. ❧ Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Jab Maal-e-G...

Aasaan Deen Part 27

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 27 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Pichhli qaumon par Allah Ta'ala ki naafarmaani ki wajah se azaab bhi aachuka hai, maslan Hazrat Nooh Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, us ke saath shirk kiya, gunaahon mein mubtila ho gai, to Hazrat Nooh Alaihissalam ne un ko samjhaaya aur sirf ek Allah ki ibaadat karne aur gunaahon ko chhodne ka hukm diya aur Allah Ta'ala ki marzi ke mutaabiq zindagi guz...

Aasaan Deen Part 26

✾✵✾        *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*          *Bismillahirrahmanirrahim*        *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*               *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*              *❀  Aasaan Deen  ❀*               *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*                    *❥ Part - 26 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *​(11)➾ Allah Ta'ala ki naafarmaani ka wabaal* ❧ Allah Ta'ala ne tamaam insaanon ko jin baaton par chalne ka hukm diya hai, usi ke mutaabiq chalna zaroori hai, us ke khilaaf zindagi guzaarna aur Allah Ta'ala ke hukmon ko na maanna bade nuqsaan ka zariya hai, alse logon se Allah Ta'ala sakht naaraaz ho jaate hain, insaanon par jo tarah tarah ki museebatein aur pareshaaniyaan aati h...