Aasaan Deen Part 86
✾✵✾ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part – 86 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ *(38)➾ Gasab ka wabaal* ❧ Kisi doosre ki koi cheez us ki marzi ke bagair le lena "Gasab" kehlaata hai, yeh naajaaiz aur haraam hai, gasab ka wabaal itna sakht hai ke us se insaani zindagi ka saara sukoon-o-chain khatm hojaata hai, yeh aapas mein fitna wa fasaad ko janm deta hai, jis ki wajah se aapsi ladaai jhagde ka maahol paida hojaata hai. Bahot si martaba aisa hota hai ke ek insaan doosre insaan ke makaan, khet aur dukaan ko naajaaiz taur par hadap kar leta hai to un donon ke darmiyaan saalha saal tak ladaai chalti hai, qati-o-khoon ka baazaar garm ho jaata hai aur muqaddame tak ki naubat aajaati hai aur us muqaddame mein donon pareshaan ho jaate hain, donon ko court ke dhakke khaane padte hain aur bedareeg maal kharch k...