Aasaan Deen Part 74

✾✵✾
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  Aasaan Deen  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                   *❥ Part - 74 ❥*
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂​​​​​​​​​​
❧ Aise shakhs ko Allah ke Rasool ﷺ ne qaabil-e-rashk bataaya hai, chunaanche ek Hadees mein irshaad farmaaya: "Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain: Ek woh jis ko Allah ne Qur'aan ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai."
 [Sahih Bukhaari: 7529]
❧ Qur'aane Kareem ki tilaawat se dil ki safaai hoti hai aur Allah ki yaad aur aakhirat ke anjaam se befikri aur gaflat door hoti hai. Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Insaanon ke quloob par isi tarah zang lag jaata hai jis tarah paani lagne ki wajah se lohe par zang aajaata hai. Arz kiya gaya: Ya Rasoolullah! Dilon ke zang ki safaai ki kya soorat ho sakti hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Maut ko kasrat se yaad karna aur Qur'aane Kareem ki tilaawat karna.
 [Shobul Imaan: 2014]
  (..Next - 75, Soon In Sha Allah..)
   *✍ Ref:* Deeniyat Course book
❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂

Popular posts from this blog

Aasaan Deen Final Part 122

Aasaan Deen Part 121

Aasaan Deen Part 116